Hindi Shayari, Najar Mein Zakhm-e-Tabassum

Beautiful Hindi Shayari Describing the Innocence of Lover

Advertisement

Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila,
Khafa Toh Tha Woh Magar Mujh Se Muskura Ke Mila,
नज़र में ज़ख़्म-ए-तबस्सुम छुपा छुपा के मिला,
खफा तो था वो मगर मुझ से मुस्कुरा के मिला।

Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat,
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila,
वो हमसफ़र कि मेरे तंज़ पे हंसा था बहुत,
सितम ज़रीफ़ मुझे आइना दिखा के मिला।

Mere Mizaaj Pe Hairaa.n Hai Zindagi Ka Shaoor,
Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila,
मेरे मिज़ाज पे हैरान है ज़िन्दगी का शऊर,
मैं अपनी मौत को अक्सर गले लगा के मिला।

Advertisement

Mein Os Se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka,
Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila,
मैं उस से मांगता क्या? खून बहा जवानी का,
कि वो भी आज मुझे अपना घर लुटा के मिला।

Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein,
Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila,
मैं जिस को ढूँढ रहा था नज़र के रास्ते में,
मुझे मिला भी तो ज़ालिम नज़र झुका के मिला।

Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Dya Mohsin,
Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila.
मैं ज़ख़्म ज़ख़्म बदन ले के चल दिया मोहसिन,
वो जब भी अपनी काबा पर कँवल सजा के मिला।

Advertisement

Hindi Shayari, Daastan Baaki Hai

Hindi Shayari, Karein Khoon Ka Daava Tujh Par

Comments