हिज्र में तेरे हमने इसको भी हुनर जाना,
हर सुबह को जी उठना हर रात को मर जाना।
Hijr Mein Tere Humane Isko Bhi Hunar Jaana,
Har Subah Ko Jee Uthna Har Raat Ko Mar Jaana.
बेबसी से उसकी आँखों में भी आँसू आ गए,
जब वो खुद मुझे जुदाई का मशवरा देने लगा।
Bebasi Se Uski Aankhon Mein Bhi Aansoo Aa Gaye,
Jab Wo Khud Mujhe Judaai Ka Mashwara Dene Laga.
तेरी आँखों से यूँ तो सागर भी पिए हैं मैंने,
तुझे क्या खबर जुदाई के दिन कैसे जिए हैं मैंने।
Teri Aankhon Se Yoon To Saagar Bhi Piye Hain Main Ne,
Tujhe Kya Khabar Judai Ke Din Kaise Jiye Hain Main Ne.
सफर-ए-मोहब्बत अब खत्म ही समझिए साहब,
उनके रवैये से अब जुदाई की महक आने लगी है।
Safar-e-Mohabbat Ab Khatm Hi Samjhiye Sahab,
Unke Rawaiye Se Ab Judai Ki Mahek Aane Lagi Hai.
Separation Shayari, Juda Wo Humse Huye