Wo Ek Pal Kabhi Juda Na Hua
Latest Judai Shayari in Hindi 2 Line
Juda Bhi Ho Ke Wo Ek Pal Kabhi Juda Na Hua,
Ye Aur Baat Hai Ke Dekhe Use Zamana Hua.
जुदा भी हो के वो एक पल कभी जुदा न हुआ,
ये और बात है कि देखे उसे ज़माना हुआ।
Wo HumSafar Tha Magar Uss Se HumNawai Na Thi,
Ke Dhoop Chhaaon Ka Aalam Raha Judai Na Thi.
वो हमसफर था मगर उससे हमनवाई न थी,
कि धूप छाँव का आलम रहा जुदाई न थी।
Ye Thheek Hai Nahi Marta Koi Judai Mein,
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Juda Na Kare
ये ठीक है नहीं मरता कोई जुदाई में,
खुदा किसी को किसी से मगर जुदा न करे।
Tumhari Yaad Ke Deepak Bhi Ab Jalaana Kya,
Juda Hue Hain Toh Ehd-e-Wafa Nibhana Kya.
तुम्हारी याद के दीपक भी अब जलाना क्या,
जुदा हुए हैं तो अहद-ए-वफ़ा निभाना क्या।
Thi Wasl Mein Fikr-e-Judaai Tamaam Shab,
Wo Aaye Toh Bhi Neend Na Aayi Tamaam Shab.
थी वस्ल में भी फ़िक्र-ए-जुदाई तमाम शब,
वो आए तो भी नींद न आई तमाम शब।