Mujh Se Naaraj Hai To Chhod De Tanha Mujhko,
Aye Zindagi, Mujhe Roz Roz Tamasha Na Banaya Kar.
मुझ से नाराज़ है तो छोड़ दे तन्हा मुझको,
ऐ ज़िंदगी, मुझे रोज-रोज तमाशा न बनाया कर।
Fursat Mile Jab Bhi Toh Ranjishen Bhula Dena,
Kaun Jaane Saanso Ki Mohlatein Kahan Tak Hain.
फुर्सत मिले जब भी तो रंजिशे भुला देना,
कौन जाने साँसों की मोहलतें कहाँ तक हैं।
Apne Wajood Par Itna Na Itara, Ai Zindagi,
Woh Toh Maut Hai Jo Tujhe Mohlat Diye Ja Rahi Hai.
अपने वजूद पर इतना न इतरा, ऐ ज़िन्दगी.
वो तो मौत है जो तुझे मोहलत दिए जा रही है।
Roj Roj Gir Kar Bhi Muqammal Khade Hain,
Ai Zindgi Dekh Mere Hausle Tujhse Bhi Bade Hain.
रोज रोज गिर कर भी मुक़म्मल खड़े हैं,
ऐ ज़िंदगी देख मेरे हौसले तुझसे भी बड़े हैं।
Bakhsha Hai Thokaron Ne Sambhalne Ka Hausla,
Har Haadsa Khayal Ko Gahraayi De Gaya.
बख्शा है ठोकरों ने सँभलने का हौसला,
हर हादसा ख्याल को गहराई दे गया।
Zindagi Shayari, Meri Zindagi Ka Har Panna
Shayari on Life, Zindagi Har Pal