Shayari on Life, Kyun Dekhein Zindagi Ko
Touching Shayari about Sad Life in Hindi
Le De Ke Apne Paas Faqat Ek Najar Toh Hai,
Kyun Dekhein Zindagi Ko Kisi Ki Najar Se Hum.
ले दे के अपने पास फ़क़त एक नजर तो है,
क्यूँ देखें ज़िंदगी को किसी की नजर से हम।
Nafrat Si Hone Lagi Hai Iss Safar Se Ab,
Zindagi Kahin Toh Pahucha De Khatm Hone Se Pehle.
नफरत सी होने लगी है इस सफ़र से अब,
ज़िंदगी कहीं तो पहुँचा दे खत्म होने से पहले।
Zindagi Log Jise Marham-e-Gham Jaante Hain,
Jis Tarah Hum Ne Gujari Hai Woh Hum Jante Hain.
ज़िन्दगी लोग जिसे मरहम-ए-ग़म जानते हैं,
जिस तरह हम ने गुज़ारी है वो हम जानते हैं।
Ye KashmKash Hai Kaise Basar Zindagi Karein,
Pairon Ko Kaat Fenke Ya Chadar Badi Karein.
ये कशमकश है कैसे बसर ज़िंदगी करें,
पैरों को काट फेंके या चादर बड़ी करें।
Kuchh Iss Tarah Faqeer Ne Zindagi Ki Misaal Di,
Mutthi Mein Dhool Li Aur Hawaa Mein Uchhal Di.
कुछ इस तरह फ़कीर ने ज़िंदगी की मिसाल दी,
मुट्ठी में धूल ली और हवा में उछाल दी।