Ki Tarse The Zindagi Ke Liye
Latest Zindagi Shayari in Hindi
Yaad Rahega Ye Daur-e-Hayaat Humko,
Ki Tarse The Zindagi Mein Zindagi Ke Liye.
याद रहेगा ये दौर-ए-हयात हमको,
कि तरसे थे ज़िंदगी में ज़िंदगी के लिए।
Kuchh Aur Kash Laga Le Ai Zindagi,
Bujh Jaunga Kisi Roz Sulagte-Sulagte.
कुछ और कश लगा ले ऐ ज़िन्दगी,
बुझ जाऊंगा किसी रोज सुलगते सुलगते।
Chalo Bikharne Dete Hain Zindagi Ko Ab,
Sambhaalne Ki Bhi To Ek Hadd Hoti Hai.
चलो बिखरने देते है ज़िन्दगी को अब,
सँभालने की भी तो एक हद होती है।
Maine Mana Ke Zindagi Hai Chaar Din Ki,
Bahut Hote Hai Yaaron Chaar Din Bhi.
मैंने माना कि ज़िन्दगी है चार दिन की,
बहुत होते हैं यारों चार दिन भी।
Zindagi Ik Aansuon Ka Jaam Tha,
Pee Gaye Kuchh Aur Kuchh Chhalka Gaye.
ज़िन्दगी इक आँसुओं का जाम था,
पी गये कुछ और कुछ छलका गये।