Aapke Pyaar Mein Kuchh Aisa
Beautiful Love Shayari Status in Hindi
Main Aapke Pyaar Mein Kuchh Aisa Kar Jaunga,
Ban Kar Khushboo Hawa Mein Bikhar Jaunga,
Bhulaana Chaaho Toh Saanson Ko Rok Lena,
Saans Loge Toh Main Dil Mein Utar Jaunga
मैं आपके प्यार में कुछ ऐसा कर जाउंगा,
बन कर खुशबू हवा में बिखर जाउंगा,
भुलाना चाहो तो साँसों को रोक लेना,
साँस लोगे तो मैं दिल में उतर जाउंगा।
Shayari on Love for Girlfriend
Aap Ki Nigaah Agar Meharbaan Ho Jaye,
Main Jis Zameen Pe Hoon Wo Aasmaan Ho Jaye,
Hai Ab Bhi Aap Ko Shak Mere Pyaar Par,
Toh Phir Ek Baar Mera Imtehaan Ho Jaye.
आप की निगाह अगर मेहरबान हो जाए,
मैं जिस जमीन पर हूँ वो आसमान हो जाए,
है अब भी आप को शक मेरे प्यार पर,
तो फिर एक बार मेरा इम्तेहान हो जाए।
Chahat Mein Doobne Ka Haq Sabhi Ko Hai,
Par Duniya Ke Samne Inkaar Sabhi Ko Hai,
Beshak Koyi Chhupa Le Dil Ki Gehraaiyon Mein,
Par Kisi Na Kisi Se To Pyar Sabhi Ko Hai.
चाहत में डूबने का हक सब को है,
पर दुनिया के सामने इन्कार सभी को है,
बेशक कोई छुपा ले दिल की गहराईयों में,
पर किसी न किसी से तो प्यार सभी को है।