New Love Shayari, Koi Humein Pyar Kare
Hindi Love Shayari for Girlfriend & Boyfriend
मैं दिन को कहूँ रात तो इकरार करे,
बस हसरत यही है कि कोई हमें यूँ ही प्यार करे।
Main Din Ko Kahoon Raat To Ikraar Kare,
Bas Hasrat Yahi Hai Ki Koi Humein Yuhi Pyar Kare.

गुजरा है मोहब्बत में कुछ ऐसा भी ज़माना,
रूठा हूँ अगर मैं तो मनाया था किसी ने।
Gujra Hai Mohabbat Mein Kuchh Aisa Bhi Zamana,
Roothha Hoon Agar Main To Manaya Tha Kisi Ne.
अब तो शायद ही मुझ से मोहब्बत करे कोई,
मेरी आँखों में तुम साफ-साफ नजर आते हो।
Ab To Shayad Hi Mujh Se Mohabbat Kare Koi,
Meri Aankhon Mein Tum Saaf-Saaf Nazar Aate Ho.
मैंने जान बचा के रखी है अपनी जान के लिए,
इतना प्यार कैसे हो गया एक अनजान के लिए।
Maine Jaan Bacha Ke Rakhi Hai Apni Jaan Ke Liye,
Itna Pyar Kaise Ho Gaya Ek Anjaan Ke Liye.
ख्यालों में भटक जाना तेरी यादों में खो जाना,
बहुत महंगा पड़ा है मुझको तेरा हो जाना।
Khyalon Mein Bhatak Jana Teri Yaadon Mein Kho Jana,
Bahut Mehnga Pada Hai Mujhko Tera Ho Jana.
तेरी दुनिया का यह दस्तूर भी अजीब है ऐ खुदा,
मोहब्बत उनको मिलती है जिन्हें करनी नहीं आती।
Teri Duniya Ka Yeh Dastur Bhi Ajeeb Hai Aye Khuda,
Mohabbat Unko Milti Hai Jinhein Karni Nahi Aati.