Jis Pal Mein Wo Sirf Mera Ho
Latest Love Shayari Quotes in Hindi
Woh Ek Pal Hi Sahi, Jis Pal Mein Wo Sirf Mera Ho,
Uss Ek Pal Se Zyada To Zindagi Ki Khwahish Bhi Nahi.
वो एक पल ही सही, जिस पल में वो सिर्फ मेरा हो,
उस एक पल से ज्यादा तो जिंदगी की ख्वाहिश भी नहीं।

Heart Touching Hindi Love Shayari
Shor Na Kar Dhadkan Jara Tham Ja Kuchh Pal Ke Liye,
Badi Mushkil Se Meri Aankhon Mein Unka Khwaab Aaya Hai.
शोर न कर धड़कन जरा, थम जा कुछ पल के लिए,
बड़ी मुश्किल से मेरी आँखों में उनका ख्वाब आया है।
Yoon Bhi Hota Hai Ki Ekdam Koyi Achha Lag Jaye,
Baat Kuchh Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye.
यूं भी होता है कि एकदम कोई अच्छा लग जाए,
बात कुछ भी न हो और दिल में तमाशा लग जाए।
Ek Najar Ka Jhonka Aaye Aur Chhoo Jaye Dil Ko,
Mohabbat Ho Jaane Mein Waqt Hi Kitna Lagta Hai.
एक नजर का झोंका आए और छू जाए दिल को,
मोहब्बत हो जाने में वक्त ही कितना लगता है।
Na Dil Ka Rog Tha, Na Yaadein Thi, Aur Na Hi Ye Hijr,
Tere Pyaar Se Pehle Ki Neendein Bhi Kamaal Ki Thi.
न दिल का रोग था, न यादें थी, और न ही ये हिज्र,
तेरे प्यार से पहले की नींदें भी कमाल की थी।