Love Shayari, Chaandni Ka Badan
Beautiful Hindi Love Shayari for Lovers
Advertisement

Woh Chandni Ka Badan Khushbuon Ka Saya Hai,
Bahut Azeez Humein Hai Magar Paraya Hai.
वो चांदनी का बदन ख़ुशबुओं का साया है,
बहुत अज़ीज़ हमें है मगर पराया है।
Utar Bhi Aao Kabhi Aasman Ke Jheene Se,
Tumhein Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai.
उतर भी आओ कभी आसमाँ के ज़ीने से,
तुम्हें ख़ुदा ने हमारे लिये बनाया है।
Advertisement
Kahan Se Aayi Yeh Khushbu Yeh Ghar Ki Khushbu Hai,
Iss Ajnabi Ke Andhere Mein Kaun Aaya Hai.
कहाँ से आई ये खुशबू ये घर की खुशबू है,
इस अजनबी के अँधेरे में कौन आया है।
Mehak Rahi Hai Zamin Chaandni Ke Phoolo Se,
Khuda Kisi Ki Muhabbat Pe Muskuraya Hai.
महक रही है ज़मीं चांदनी के फूलों से,
ख़ुदा किसी की मुहब्बत पे मुस्कुराया है।