Love Shayari, Mohabbat Ek Khushboo Hai
Nice Shayari on Love in Hindi and English
Mohabbat Ek Khushboo Hai Hamesha Saath Rahti Hai,
Koi Inssan Tanhai Mein Bhi Kabhi Tanha Nahi Rahta.
मोहब्बत एक खुशबू है हमेशा साथ रहती है,
कोई इंसान तन्हाई में भी कभी तन्हा नहीं रहता।

Mohabbat Kya Hai Chalo Do Lafzon Mein Batate Hain,
Tera Majboor Karna Aur Mera Majboor Ho Jana.
मोहब्बत क्या है चलो दो लफ़्ज़ों में बताते हैं,
तेरा मजबूर करना और मेरा मजबूर हो जाना।
Anjaan Si Raahon Par Chalne Ka Tajurba Nahi Tha,
Ishq Ki Raah Ne Mujhe Ek Hunarmand Raahi Bana Diya.
अनजान सी राहों पर चलने का तजुर्बा नहीं था,
इश्क़ की राह ने मुझे एक हुनरमंद राही बना दिया।
Tere Khamosh Honthho Par Mohabbat GunGunati Hai,
Tu Mera Hai Main Tera Hoon Bas Yahi Awaaz Aati Hai.
तेरे खामोश होंठों पर मोहब्बत गुनगुनाती है,
तू मेरा है मैं तेरा हूँ बस यही आवाज़ आती है।
Mujhe Malum Hai Mere Muqaddar Mein Tum Nahi Lekin,
Meri Taqdeer Se Chhup Kar Ek Baar Mere Ho Jaao.
मुझे मालूम है मेरे मुकद्दर में तुम नहीं लेकिन,
मेरी तक़दीर से छुप कर एक बार मेरे हो जाओ।
Sirf Ek Baar Aa Jaao Dil Mein Dekhne Mohabbat Apni,
Phir Lautne Ka Iraada Hum Tum Par Chhodte Hain.
सिर्फ एक बार आओ दिल में देखने मोहब्बत अपनी,
फिर लौटने का इरादा हम तुम पर छोड़ देंगे।