Romantic Shayari, Kitne Pyare Ho Aap
Nice Romantic Shayaris for Girlfriend or Wife
Khud Nahi Jante Kitne Pyare Ho Aap,
Jaan Ho Hamari Par Jaan Se Pyari Ho Aap,
Duriyon Ke Hone Se Koi Fark Nahi Padta,
Kal Bhi Hamare The Aur Aaj Bhi Hamari Ho Aap.
खुद नहीं जानते कितनी प्यारे हो आप,
जान हो हमारी पर जान से प्यारे हो आप,
दूरियों के होने से कोई फर्क नही पड़ता,
कल भी हमारे थे और आज भी हमारे हो आप।
Lakho Ki Hansi Tumhare Naam Kar Denge,
Har Khushi Tum Pe Qurbaan Kar Denge,
Jis Din Ho Kami Mere Pyaar Mein Bata Dena,
Uss Din Zindgi Ko Aakhiri Salaam Kah Denge.
लाखो की हँसी तुम्हारे नाम कर देंगे,
हर खुशी तुम पे कुर्बान कर देंगे,
जिस दिन हो कमी मेरे प्यार में बता देना,
इस जिन्दगी को आखरी सलाम कह देंगे।
Manzil Bhi Tum Ho Talaash Bhi Tum Ho,
Ummid Bhi Tum Ho Aas Bhi Tum Ho,
Ishq Bhi Tum Ho Junoon Bhi Tum Hi Ho,
Ehsaas Tum Ho Pyaas Bhi Tum Hi Ho.
मंजिल भी तुम हो तलाश भी तुम हो,
उम्मीद भी तुम हो आस भी तुम हो,
इश्क भी तुम हो और जूनूँ भी तुम ही हो,
अहसास तुम हो प्यास भी तुम ही हो।