Iss Qadar Toot Ke Chaaho Mujhe
Romantic Shayari in Hindi for Girlfriend
Advertisement
Na Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Iss Qadar Toot Ke Chaaho Mujhe Pagal Kar Do.
न तुम्हें होश रहे और न मुझे होश रहे,
इस क़दर टूट के चाहो मुझे पागल कर दो।

Chamka Na Karo Jugnoo Ki Tarha Raat Ko,
Le Jaunga Mutthi Mein Kisi Roz Chhupa Kar.
चमका न करो जुगनू की तरह रात को,
ले जाउंगा मुट्ठी में किसी रोज़ छुपा कर।
Advertisement
Sher Logon Ke Bahut Yaad Hain Auron Ke Liye,
Tum Milo To Main Tumhein Sher Sunaaun Apne.
शेर लोगों के बहुत याद हैं औरों के लिए,
तुम मिलो तो मैं तुम्हें शेर सुनाऊं अपने।
Likhna Chahta Hoon Main Bhi Kuchh Gehra Sa,
Jise Parhe Koi Bhi Bas Samajh Tum Sako.
लिखना चाहता हूँ मैं भी कुछ गहरा सा,
जिसे पढ़े कोई भी बस समझ तुम सको।