Romantic Shayari, Tere Talabgaar Ho Gaye
Best Hindi Romantic Shayari in Two Line
तुझ से मिले न थे तो कोई आरजू न थी,
देख लिया तुझे तो तेरे तलबगार हो गए।
Tujh Se Mile Na The To Koi Aarzoo Na Thi,
Dekh Liya Tujhe To Tere Talabgaar Ho Gaye.

मैं तुम्हें मुकद्दर की लकीरों से चुरा लूंगा,
तुम एक बार मेरा होने का दावा तो करो।
Main Tumhein Muqaddar Ki Lakeeron Se Chura Lunga,
Tum Ek Baar Mera Hone Ka Daawa To Karo.
इस बात का एहसास किसी पर न होने देना,
कि तेरी चाहतों से चलती है मेरी साँसें।
Iss Baat Ka Ehsaas Kisi Par Na Hone Dena,
Ki Teri Chaahaton Se Chalti Hai Meri Saansein.
है आरज़ू एक रात तुम आओ ख्वाब में,
और फिर उस रात की कभी सुबह न हो।
Hai Aarzoo Ek Raat Tum Aao Khwaab Mein,
Aur Fir Uss Raat Ki Kabhi Subah Na Ho.
करीब आ तेरी आँखों में, देख लूँ खुद को,
बहुत दिनों से कोई आईना नहीं देखा।
Kareeb Aa Teri Aankhon Mein, Dekh Loon Khud Ko,
Bahut Dino Se Koi Aaina Nahi Dekha.
जी भर के देखो तुझे गर तुझको गँवारा हो,
बेताब मेरी नजरें हों और प्यार तुम्हारा हो।
Jee Bhar Ke Dekhoon Tujhe Agar Tujhko Ganwara Ho,
Betaab Meri Najrein Ho Aur Pyaar Tumhara Ho.