Bachpan Shayari in Hindi

बचपन पर हिंदी शायरी

Advertisement

Hindi Shayari on Bachpan

Jhooth Bolte The Phir Bhi Kitne Sachche The Hum,
Yeh Un Dino Ki Baat Hai Jab Bachche The Hum.
झूठ बोलते थे फिर भी कितने सच्चे थे हम,
ये उन दिनों की बात है जब बच्चे थे हम।

Woh Bachpan Ki Neend To Ab Khwaab Ho Gayi,
Kya Umar Thi Ke Raaat Huyi Aur Hum So Gaaye.
वह बचपन की नींद तो अब ख्वाब हो गयी,
क्या उम्र थी के रात हुयी और हम सो गए।

Chalo Aaj Bachpan Koi Khel Khelein,
Badi Muddat Hui BeWazah HansKar Nahi Dekha.
चलो आज बचपन का कोई खेल खेलें,
बड़ी मुद्दत हुई बेवजह हंसकर नहीं देखा।

Sukoon Ki Baat Mat Kar Aye Dost,
Bachpan Wala Itwaar Ab Nahi Aata.
सुकून की बात मत कर ऐ दोस्त,
बचपन वाला इतवार अब नहीं आता।

Advertisement

Koyi Mujhko Lauta De Wo Bachpan Ka Sawan,
Woh Kagaj Ki Kashti, Wo Barish Ka Paani.
कोई मुझको लौटा दे वो बचपन का सावन,
वो कागज की कश्ती वो बारिश का पानी।

Zindagi Phir Kabhi Na Muskurai Bachpan Ki Tarha,
Maine Mitti Bhi Jama Ki Khilone Bhi Lekar Dekhe.
जिंदगी फिर कभी न मुस्कुराई बचपन की तरह,
मैंने मिट्टी भी जमा की खिलोने भी लेकर देखे।

Der Tak Hansta Raha Unn Par Humara Bachpana,
Jab Tajurbe Aaye The Sanjeeda Banaane Ke Liye.
देर तक हँसता रहा उन पर हमारा बचपना,
जब तजुर्बे आए थे संजीदा बनाने के लिए।

Aur Toh Kuchh Nahi Badla Umr Barhne Ke Saath,
Bachpan Ki Jo Jid Thi Samjhauto Mein Badal Gayi.
और तो कुछ नहीं बदला उम्र बढ़ने के साथ,
बचपन की जो ज़िद थी समझौतों में बदल गई।

Kagaz Ki Kashti Thi Pani Ka Kinara Tha,
Khelne Ki Masti Thi Dil Ye Awara Tha,
Kaha Aa Gye Samajhdari Ke Daldal Mein,
Wo Nadaan Bachpan Hi Pyara Tha.
काग़ज़ की कश्ती थी पानी का किनारा था,
खेलने की मस्ती थी ये दिल अवारा था,
कहाँ आ गए इस समझदारी के दलदल में,
वो नादान बचपन भी कितना प्यारा था।

Bachpan Ke Din Kitne Achhe Hote The,
Tab Dil Nahi Sirf Khilone Tuta Karte The,
Ab To Ek Aansu Tak Bhi Bardaasht Nahi Hota,
Aur Bachpan Mein Jee Bharkar Roya Karte The.
बचपन के दिन भी कितने अच्छे होते थे,
तब दिल नहीं सिर्फ खिलौने टूटा करते थे,
अब तो एक आंसू भी बर्दाश्त नहीं होता,
और बचपन में जी भरकर रोया करते थे।

Ghalib Shayari, Andaaz-E-Guftgu Kya Hai

Aadat Shayari, Wo Aadat Baaki Hai

Comments