Read Shayari in Hindi

Advertisement
Hindi Shayari

Hindi Shayari, Karein Khoon Ka Daava Tujh Par

Ab Toh Ghabara Ke Yeh Kehte Hain Ke Mar Jayenge,
Mar Ke Bhi Chain Na Paaya Toh Kidhar Jayenge.

Tum Ne Thehrayi Agar Gair Ke Ghar Jaane Ki,
Toh Iraade Yahan Kuchh Aur Thahar Jayenge.

Ham Nahin Woh Jo Karein Khoon Ka Daava Tujh Par,
Balqi Poochhega Khuda Bhi Toh Mukar Jayenge.

Aag Dozakh Ki Bhi Ho Jayegi Pani Pani,
Jab Yeh Aasi Arq-E-Sharm Se Tar Jayenge.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Love Shayari

Love Shayari, Humari Tarah Kaun Chahega

Agar Talaash Karoge Toh Koyi Mil Hi Jayega,
Magar Humari Tarah Kaun Tumhein Chahega.
अगर तलाश करोगे तो मिल ही जायेगा,
मगर हमारी तरह कौन तुम्हें चाहेगा।

Tumhein Zaroor Koyi Chahaton Se Dekhega,
Magar Wo Aankhein Hamaari Kahan Se Layega.
तुम्हें जरूर कोई चाहतों से देखेगा,
मगर वो आँखें हमारी कहाँ से लायेगा।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Hindi Shayari

Hindi Shayari, Najar Mein Zakhm-e-Tabassum

Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila,
Khafa Toh Tha Woh Magar Mujh Se Muskura Ke Mila,
नज़र में ज़ख़्म-ए-तबस्सुम छुपा छुपा के मिला,
खफा तो था वो मगर मुझ से मुस्कुरा के मिला।

Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat,
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila,
वो हमसफ़र कि मेरे तंज़ पे हंसा था बहुत,
सितम ज़रीफ़ मुझे आइना दिखा के मिला।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Bewafa Shayari

Bewafai Shayari, Mashq-E-Sitam Ka Malaal

Tujhe Hai Mashq-E-Sitam Ka Malaal Waise Hi,
Humari Jaan Hain Jaan Par Wabaal Waise Hi.
तुझे है मशक-ए-सितम का मलाल वैसे ही,
हमारी जान थी, जान पर वबाल वैसे ही।

Chala Tha Zikr Zamaane Ki Bewafai Ka,
Toh Aa Gaya Hai Tumhara Khyaal Waise Hi.
चला था ज़िकर ज़माने की बेवफाई का,
सो आ गया है तुम्हारा ख्याल वैसे ही।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Two Line Shayari

Two Line Shayari, Tamanna Kiye Bagair

Maagne Se Mil Sakti Nahi Hamein Ek Bhi Khushi,
Paye Hai Laakh Ranz Tamanna Kiye Bagair.
माँगने से मिल सकती नहीं हमें एक भी ख़ुशी,
पाये हैं लाख रंज तमन्ना किये बगैर।

Alfaz Churane Ki Jarurat Hi Na Padi Kabhi,
Tere Be-Hisab Khayalon Ne Be-Hatasha Lafz Diye.
अल्फ़ाज़ चुराने की ज़रूरत ही ना पड़ी कभी,
तेरे बे-हिसाब ख्यालों ने बे-तहाशा लफ्ज़ दिए।

[ Read More Shayaris ]

178910Next ›