Bewafai Shayari, Mashq-E-Sitam Ka Malaal
Sad and Heart Touching Shayari on Bewafai
Tujhe Hai Mashq-E-Sitam Ka Malaal Waise Hi,
Humari Jaan Hain Jaan Par Wabaal Waise Hi.
तुझे है मशक-ए-सितम का मलाल वैसे ही,
हमारी जान थी, जान पर वबाल वैसे ही।
Chala Tha Zikr Zamaane Ki Bewafai Ka,
Toh Aa Gaya Hai Tumhara Khyaal Waise Hi.
चला था ज़िकर ज़माने की बेवफाई का,
सो आ गया है तुम्हारा ख्याल वैसे ही।
Hum Aa Gaye Hain Teh-E-Daam Toh Naseeb Apna,
Wagarna Usne Toh Phenka Tha Jaal Waise Hi.
हम आ गए हैं तह-ए-दाम तो नसीब अपना,
वरना उस ने तो फेंका था जाल वैसे ही।
Main Rokna Hi Nahi Chahta Tha Waar Uska,
Giri Nahi Mere Haathon Se Dhaal Wise Hi.
मैं रोकना ही नहीं चाहता था वार उस का,
गिरी नहीं मेरे हाथों से ढाल वैसे ही।
Mujhe Bhi Shauq Na Tha Daastan Sunaane Ka,
Mohsin Usne Bhi Poocha Tha Haal Waise Hi.
मुझे भी शौक़ न था दास्ताँ सुनाने का,
मोहसिन उस ने भी पूछा था हाल वैसे ही।