Aa Dekh Meri Aankhon Ke Yeh Bhige Huye Mausam,
Yeh Kisne Keh Diya Ke Tumhein Bhool Gaye Hum.
आ देख मेरी आँखों के ये भीगे हुए मौसम,
ये किसने कह दिया कि तुम्हें भूल गये हम।
Na Jaane Aakhir Inn Aansuon Par Kya Gujri,
Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Magar Beh Na Sake.
ना जाने आखिर इन आँसूओ पे क्या गुजरी,
जो दिल से आँख तक आये मगर बह ना सके।
Kya Dukh Hai Samandar Ko Bata Bhi Nahi Sakta,
Aansoo Ki Tarah Aankh Tak Aa Bhi Nahi Sakta.
क्या दुख है समुंदर को बता भी नहीं सकता,
आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता।
Palkon Se Paani Gira Hai Toh Girne Do,
Seen Mein Koi Puraani Tamanna Pighal Rahi Hogi.
पलकों से पानी गिरा है तो उसे गिरने दो,
सीने में कोई पुरानी तमन्ना पिघल रही होगी।
Ashq Shayari, Do Chaar Aansoo
Aansoo Shayari, Barasti Hain Aankhein