Shayari Thamte Nahi Aansoo Apne
2 Line Shayari about Tears in Eyes
Wohi Hum They Ke Roton Ko Hansa Dete The,
Wohi Hum Hain Ke Thamte Nahi Aansoo Apne.
वही हम थे कि रोतों को हँसा देते थे,
वही हम हैं कि थमते नहीं आँसू अपने।

Roothha Tha Jis Guroor Se Wo Bhi To Yaad Kar,
Aankhon Mein Teri Aaj Yeh Aansoo Fazool Hain.
रूठा था जिस ग़ुरूर से वो भी तो याद कर,
आँखों में तेरी आज यह आँसू फज़ूल हैं।
Aaj Fir Kuchh Katre Palko Mein Rahenge,
Use Khwaab Mein Bichhadte Hue Dekha Maine.
आज फिर कुछ कतरे पलकों में रहेंगे,
उसे ख्वाब में बिछड़ते हुए देखा मैंने।
Yoon Alfaazo Ki Ahmiyat Na Badaaiye,
Ashqo Ki Bhi Apni Ek Jubaan Hoti Hai.
यूँ अल्फाजों की अहमियत न बढ़ाइए,
अश्कों की भी अपनी एक जुबान होती है।
Mat Bahaao Aansoo Be Kadron Ke Liye Dosto,
Jo Kadr Karte Hain Wo Kabhi Rone Nahi Dete.
मत बहाओ आँसू बे कद्रों के लिए दोस्तों,
जो कद्र करते हैं वो कभी रोने नहीं देते।
Tum Yaad Bhi Aa Jaao To Chup Rehte Hain,
Ki Aankhon Ko Khabar Hui To Baras Jayengi.
तुम याद भी आ जाओ तो चुप रहते हैं,
कि आँखों को खबर हुई तो बरस जाएंगी।