Palkon Ke Bandh Torh Ke Daaman Pe Gir Gaya,
Ek Ashk Mere Zabt Ki Tauheen Kar Gaya.
पलकों के बंध तोड़ के दामन पे गिर गया,
एक अश्क मेरे ज़ब्त की तौहीन कर गया।
Ittefaq Samjho Ya Mere Dard Ki Hakeeqat,
Aankh Jab Bhi Nam Huyi Wajah Tum Hi Nikle.
इत्तिफ़ाक़ समझो या मेरे दर्द की हकीक़त,
आँख जब भी नम हुई वजह तुम ही निकले।
Rone Wale Toh Dil Mein Hi Ro Lete Hain,
Aankho Mein Aansu Aayein Yeh Zaruri Toh Nahi.
रोने वाले तो दिल में ही रो लेते हैं,
आँखों में आँसू आयें ये ज़रूरी तो नहीं।
Uska Aks Aankhon Mein Iss Kadar Basa Hai,
Barson Bahe Aansu Magar Tasbeer Na Dhuli.
उसका अक्स आँखों में इस कदर बसा है,
बरसों आँसू बहे मगर तसवीर न धुली।
Wapasi Ka Safar Ab Na Mumkin Hoga,
Hum Nikal Chuke Hain Aankh Se Aansu Ki Tarah.
वापसी का सफ़र अब न मुमकिन होगा,
हम निकल चुके हैं आँख से आँसू की तरह।
Ashq Shayari, Kabhi Aankh Mein Aansu
Ashq Shayari, Aansuon Ki Barsaat Huyi