Bollywood Shayari, Kabhi Kabhi Mere Dil Mein

Famous Heart Touching Shayari of Kabhi-Kabhie Movie

Advertisement

Bollywood Shayari, Kabhi Kabhi Mere Dil Mein

Shayari in Movie 'Kabhi-Kabhie'

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai,
Ke Zindgi Tumhare Zulfo Ki
Narm Chhanv Mein Gujarne Paati,
Toh Shadab Ho Bhi Sakti Thi...

Yeh Ranjo-Gham Ki Syaahi
Jo Mere Zeest Ka Muqaddar Hai,
Tere Nazar Ke Shuao Mein
Kho Bhi Sakti Thi...

Magar Ab Yeh Aalam Hai Ke Tu Nahi
Tera Gham Teri Justju Bhi Nahi,
Gujar Rahi Hai Kuchh Iss Tarah Se Zindgi Jaise
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarjoo Bhi Nahi.

Full Version of This Shayari:-

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aataa Hai,
Ki Zindagi Teri Zulfon Ki Narm Chhaaon Mein,
Guzarne Paati To Shadab Ho Bhi Sakti Thi,
Yeh Tiraagi Jo Mere Zeest Ka Muqaddar Hai,
Teri Nazar Ki Shuaon Mein Kho Bhi Sakti Thi.

Advertisement

Ajab Na Tha Ki Main Begana-E-Alam Reh Kara
Tere Jamaal Ki Ranaiyon Mein Kho Rehta
Tera Gudaaz Badan, Teri Neembaz Aankhein
Inhin Hasin Fasano Mein Main Ho Rehta.

Pukartin Mujhe Jab Talkhiyan Zamane Ki,
Tere Labon Se Halavat Ke Ghunt Pe Leta,
Hayaat Chikhti Phirti Barhana-Sar Aur Main,
Ghaneri Zulfon Ke Saaye Mein Chhup Ke Ji Leta.

Magar Yeh Ho Na Saka Aur Ab Yeh Aalam Hai,
Ki Tu Nahin, Tera Gham Teri Justaju Bhi Nahin,
Guzar Rahi Hai Kuch Iss Tarah Zindgi Jaise,
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarzoo Bhi Nahin,

Zamane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Chuka Hu Gale,
Guzar Raha Hun Kuchh Anjaani RahGuzaron Se,
Muhib Saaye Meri Simt Badate Aate Hain,
Hayaat-O-Maut Ke Par-Haal Khaar-Zaaron Se.

Na Koyi Jaada, Na Manzil Na Roshani Ka Suraag,
Bhatak Rahi Hai Khalaaon Mein Zindagi Meri,
Inhi Khalaaon Mein Reh Jaaunga Kabhi Kho Kar,
Main Jaanta Hun Meri Ham-Nafas, Magar Yun Hi,
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai.

Advertisement

Bollywood Shayari, Filmi Shayari Devdas Movie

Comments