Kaun Tolega Heeron Mein Ab Hamare Aansoo Faraz?
Woh Jo Ek Dard Ka Taajir Tha Dukan Chhor Gaya.
कौन तोलेगा हीरों में अब तुम्हारे आंसू फ़राज़,
वो जो एक दर्द का ताजिर था दुकां छोड़ गया।
Aankhein Khuli Toh Jag Uthhi Hasratein Faraz,
Usko Bhi Kho Diya Jise Paya Tha Khwab Main.
आँखें खुली तो जाग उठी हसरतें फराज़,
उसको भी खो दिया जिसे पाया था ख्वाब में।
Ek Nafrat Hi Nahi Duniya Mein Dard Ka Sabab Faraz,
Mohabbat Bhi Sakoon Walon Ko Badi Takleef Deti Hai.
एक नफरत ही नहीं दुनिया में दर्द का सबब फ़राज़,
मोहब्बत भी सुकून वालों को बड़ी तकलीफ देती है।
Iss Dafa Toh Barishein Rukti Hi Nahin Faraz,
Humne Kya Aansu Piye Ke Saare Mausam Ro Pade.
इस दफा तो बारिशें रूकती ही नहीं फ़राज़,
हमने आँसू क्या पिए सारे मौसम रो पड़े।
Kaun Kehta Hai Nafraton Mein Dard Hai Faraz,
Kuchh Mohabbatein Bhi Badi AziyatNaak Hoti Hain.
कौन कहता है मोहब्बतों में दर्द है फ़राज़,
कुछ मोहब्बतें भो बड़ी अज़ीयतनाक होती हैं।
Tanhaiyon Ke Dard Se Khoob Waqif Tha Woh Faraz,
Phir Bhi Dunia Mein Mujhe Tanha Banaya Usne.
तन्हाइयों के दर्द से खूब वाकिफ था वो फ़राज़,
फिर भी दुनिया में मुझे तनहा बनाया उसने।
Zikr Uss Ka Hi Sahi Bazm Main Baithe Ho Faraz,
Dard Kaisa Bhi Uthe Haath Na Dil Par Rakhna.
ज़िक्र उस का ही सही बज़्म में बैठे हो फ़राज़,
दर्द कैसा भी उठे हाथ न दिल पर रखना।
Kaun Deta Hai Umr Bhar Ka Sahara Faraz,
Log Toh Janaze Mein Kandhe Badalte Rahte Hain.
कौन देता है उम्र भर का सहारा फ़राज़,
लोग तो जनाज़े में भी कंधे बदलते रहते।
Be-Jaan Toh Main Ab Bhi Nahi Faraz,
Magar Jise Jaan Kehte The Woh Chhod Gaya.
बे-जान तो मैं अब भी नहीं फ़राज़,
मगर जिसे जान कहते थे वो छोड़ गया।
Dard Shayari, Dard Bhari Raton Ka
Dard Shayari, To Aur Kya Karte