Dard Shayari, Dard Ka Asar Aakhiri
Painful Shayari about Last Journey of Love

Mohabbat Ka Mere Safar Aakhiri Hai,
Yeh Kagaz Kalam Yeh Ghazal Aakhiri Hai,
Main Phir Na Milunga Kahi Dhoondh Lena,
Tere Dard Ka Ab Yeh Asar Aakhiri Hai.
मोहब्बत का मेरे सफर आख़िरी है,
ये कागज कलम ये गजल आख़िरी है,
मैं फिर ना मिलूँगा कहीं ढूंढ लेना,
तेरे दर्द का अब ये असर आख़िरी है।
Sochta Hoon Kya Usey Neend Aati Hogi,
Ya Wo Meri Tarah Ashq Bahaati Hogi,
Wo Mera Aks Mera Naam Bhulaane Wali,
Apni Tasvir Se Kya Aankh Milati Hogi.
सोचता हूँ क्या उसे नींद आती होगी,
या वो मेरी तरह अश्क बहाती होगी,
वो मेरा अक्स मेरा नाम भुलाने वाली,
अपनी तस्वीर से क्या आँख मिलाती होगी।
Waqt Ki Raftar Ruk Gayi Hoti,
Sharm Se Aankhein Jhuk Gayin Hoti,
Agar Dard Janti Shama Parwane Ka,
Toh Jalne Se Pahle Bujhh Gayi Hoti.
वक़्त की रफ़्तार रुक गई होती,
शर्म से आँखे झुक गई होती,
अगर दर्द जानती शमा परवाने का,
तो जलने से पहले बुझ गई होती।