Painful Shayari, Dard Mein Izafa

Pain and Sadness a Lover Expressed in Heartrending Dard Shayari

Advertisement

Aur Bhi Kar Deta Hai Mere Dard Mein Izafa,
Tere Rahte Huye Ghairon Ka Dilaasa Dena.
और भी कर देता है मेरे दर्द में इज़ाफ़ा,
तेरे रहते हुए गैरों का दिलासा देना।

Sab So Gaye Apna Dard Apno Ko Suna Ke,
Koi Hota Mera To Mujhe Bhi Neend Aa Jaati.
सब सो गए अपना दर्द अपनों को सुना के,
कोई होता मेरा तो मुझे भी नींद आ जाती।

Visaal, Hijr, Wafa, Fikr, Dard, Majboori,
Jara Si Umr Mein Kitne Zamane Dekhe Hain.
विसाल, हिज्र, वफ़ा, फ़िक्र, दर्द, मजबूरी,
जरा सी उम्र में कितने ज़माने देखे हैं।

Advertisement

Dard Kab Mohtaz Hota Hai Lafzon Ka,
Do Boond Aansoo Chahiye Bayaan Karne Ke Liye.
दर्द कब मोहताज़ होता है लफ्जों का,
दो बूंद आँसू चाहिए बयाँ करने के लिये।

Durust Kar Hi Liya Maine Najariya Apna,
Ke Dard Na Ho Toh Mohabbat Majaak Lagti Hai.
दुरुस्त कर ही लिया मैंने नजरिया अपना,
कि दर्द न हो तो मोहब्बत मजाक लगती है।

Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha,
Muqeem Kaun Hua Hai, Maqaam Kiss Ka Tha.
रहा न दिल में वो बेदर्द और दर्द रहा,
मुक़ीम कौन हुआ है मुक़ाम किसका था।
(Daagh Dehlvi)

Tarteeb-e-Sitam Ka Bhi Saleeqa Tha Usey,
Pehle Pagal Kiya Aur Phir Mujhe Pathar Maare.
तरतीब-ए-सितम का भी सलीक़ा था उसे,
पहले पागल कर दिया फिर मुझे पत्थर मारे।

Advertisement

Dard Shayari, Zakhm Barhta Gaya

Dard Shayari, Bahut Dard Seh Liye

Comments