Jhuthhi Hansi Se Zakhm Aur Barhta Gaya,
Iss Se Behtar Tha KhulKar Ro Liye Hote.
झूठी हँसी से जख्म और बढ़ता गया,
इससे बेहतर था खुलकर रो लिए होते।
Dil Ke Zakhmo Ko Hawa Lagti Hai,
Saans Lena Bhi Yahan Aasaan Nahi Hai.
दिल के ज़ख्मों को हवा लगती है,
साँस लेना भी यहाँ आसान नहीं है।
Faisla Yeh Mere Yaar Bahut Mushkil Hai,
Tere Zulm Sahein Ya Ke Fanaa Ho Jayein.
फैसला ये मेरे यार बहुत मुश्किल है,
तेरे ज़ुल्म सहें या कि फ़ना हो जाएँ।
Meri Har Aah Ko Waah Mili Hai Yahan,
Kaun Kahta Hai Dard Bikta Nahi Hai.
मेरी हर आह को वाह मिली है यहाँ.
कौन कहता है दर्द बिकता नहीं है।
Ek Fasaana Sun Gaye Ek Keh Gaye,
Main Jo Roya Toh Muskura Ke Reh Gaye.
एक फ़साना सुन गए एक कह गए,
मैं जो रोया तो मुस्कुराकर रह गए।
Phir Koi Sawaal Sulagta Hai Raat Bhar,
Phir Koi Jawaab Sisakta Hi Rah Gaya.
फिर कोई सवाल सुलगता है रात भर,
फिर कोई जवाब सिसकता ही रह गया।
Uss Se Puchho Azaab Rishton Ka,
Jiska Sathi Safar Mein Bichhada Hai.
उससे पूछो अज़ाब रिश्तों का,
जिसका साथी सफ़र में बिछड़ा है।
Meri Fitrat Hi Kuchh Aisi Hai Ke,
Dard Sahne Ka Lutf Uthhata Hoon Main.
मेरी फितरत ही कुछ ऐसी है कि,
दर्द सहने का लुत्फ़ उठाता हूँ मैं।
Dard Shayari, Dard-e-Dil Ka Mazaa
Painful Shayari, Dard Mein Izafa