Hindi Shayari, Khushboo Basi Usi Ki Hai
Beautiful hindi shayari for lover
Advertisement
Mujh Mein Khushboo Basi Usi Ki Hai,
Jaise Ye Zindgi Usi Ki Hai.
मुझ में ख़ुशबू बसी उसी की है,
जैसे ये ज़िंदगी उसी की है।
Wo Kahin Aas Paas Hai Mauzood,
Hu-Ba-Hu Yeh Hasee Usi Ki Hai.
वो कहीं आस-पास है मौजूद,
हू-ब-हू ये हँसी उसी की है।
Advertisement
Khud Main Apna Dukha Raha Hoon Dil,
Iss Mein Lekin Khushi Usi Ki Hai.
ख़ुद में अपना दुखा रहा हूँ दिल,
इस में लेकिन ख़ुशी उसी की है।
Yaani Koyi Kami Nahi Mujh Mein,
Yaani Mujh Mein Kami Usi Ki Hai.
यानी कोई कमी नहीं मुझ में,
यानी मुझ में कमी उसी की है।
Kya Mere Khwab Bhi Nahi Mere,
Kya Meri Neend Bhi Usi Ki Hai?
क्या मेरे ख़्वाब भी नहीं मेरे,
क्या मेरी नींद भी उसी की है?