Success Shayari, Na Harunga Hausla Umar Bhar
Motivational Quotes for Success in Life
Na Puchho Ke Meri Manzil Kaha Hai,
Abhi To Safar Ka Irada Kiya Hai,
Na Harunga Hausla Umar Bhar,
Ye Maine Khud Se Waada Kiya Hai.
न पूछो कि मेरी मंजिल कहाँ है,
अभी तो सफर का इरादा किया है,
न हारुंगा हौसला उमर भर,
ये मैंने खुद से वादा किया है।

Nothing is Impossible Inspiration for Life
Jeet Ki Khatir Bas Junoon Chahiye,
Jis Mein Ubaal Ho Aisa Khoon Chahiye,
Ye Aasmaan Bhi Aa Jayega Zamin Par,
Bas Iraadon Mein Jeet Ki Goonj Chahiye.
जीत की ख़ातिर बस जूनून चाहिए,
जिसमें उबाल हो ऐसा खून चाहिए,
ये आसमां भी आ जाएगा ज़मीं पर ,
बस इरादों में जीत की गूँज चाहिए।
Jo Yakeen Ki Raah Par Chal Pade,
Unhein Manzilon Ne Panaah Dee,
Jinhein VasVason Ne Daraa Diya,
Woh Kadam-Kadam Par Behak Gaye
जो यक़ीं के राह पर चल पड़े,
उन्हें मंज़िलों ने पनाह दी,
जिन्हे वस्वसों ने डरा दिया,
वो कदम-कदम पर बहक गए।