Karunga Kya Jo Ho Gaya Naakam Mohabbat Mein,
Mujhe To Koyi Aur Kaam Bhi Nahi Aata Iske Siwa.
करूँगा क्या जो हो गया नाकाम मोहब्बत में,
मुझे तो कोई और काम भी नहीं आता इसके सिवा।
Kyun Mere Chain-o-Sukoon Ke Dushman Ban Gaye,
Duniya Badi Haseen Hai Kisi Aur Se Dil Laga Lete.
क्यों मेरे चैन ओ सुकून के दुश्मन बन गए,
दुनिया बड़ी हसीं है किसी और से दिल लगा लेते।
Tabiyat Bhi Theek Thi, Dil Bhi Bekaraar Na Tha,
Ye Unn Dinon Ki Baat Hai, Jab Kisi Se Pyar Na Tha.
तबियत भी ठीक थी, दिल भी बेक़रार न था,
ये उन दिनों बात है, जब किसी से प्यार न था।
Bahut Zalim Ho Tum Bhi Mohabbat Aise Karte Ho,
Jaise Ghar Ke Pinjre Mein Parinda Paal Rakkha Ho.
बहुत ज़ालिम हो तुम भी मुहब्बत ऐसे करते हो,
जैसे घर के पिंजरे में परिंदा पाल रखा हो।
Ab Toh Hai Ishq-e-Butaan Mein Zindgaani Ka Mazaa,
Jab Khuda Ka Saamna Hoga Toh Dekha Jayega.
अब तो है इश्क़-ए-बुताँ में ज़िंदगानी का मज़ा,
जब ख़ुदा का सामना होगा तो देखा जाएगा।
~ Akbar Allahabadi
Mohabbat Karne Walo Mashgala Achha Toh Hai Lekin,
Na Itna Bhi Ke Jis Se Zindagi Dushwar Ho Jaye.
मोहब्बत करने वालों मशगला अच्छा तो है लेकिन,
न इतना भी कि जिस से ज़िन्दगी दुश्वार हो जाये।
Yeh Dariya-e-Ishq Hai Kadam Jara Soch Ke Rakhna,
Iss Mein Utar Kar Kisi Ko Kinaara Nahi Milaa.
ये दरिया-ए-इश्क है कदम जरा सोच के रखना,
इस में उतर कर किसी को किनारा नहीं मिला।
Love Shayari, Zamane Ki Khushi Maangi
Love Shayari, Lab Par Mohabbat Ka Fasana Hai