Love Shayari, Uljhi Rahi Mohabbat
Best Love Shayari in Hindi for Lovers
Na Jahir Hui Tumse Aur Na Hi Bayaan Hui Humse,
Bas Suljhi Hui Aankhon Mein Uljhi Rahi Mohabbat.
न जाहिर हुई तुमसे और न ही बयान हुई हमसे,
बस सुलझी हुई आँखो में उलझी रही मोहब्बत।

Muddaton Jisko Talasha Aaj Wo Mere Kareeb Hai,
Apna Pyar Paana Bhi Kahan Sabko Naseeb Hai.
मुद्दतों जिसको तलाशा आज वो मेरे करीब है,
अपना प्यार पाना भी कहाँ सबको नसीब है।
Kheench Leti Hai Har Baar Mujhe Teri Mohabbat,
Varna Main Bahut Baar Mila Hun Akhiri Baar Tujhse.
खींच लेती है हर बार मुझे तेरी मोहब्बत,
वरना मै बहुत बार मिला हूँ आखिरी बार तुझसे।
Tumhein Neend Nahin Aati To Koi Aur Wajah Hogi,
Ab Har Aib Ke Liye QasoorWar Ishq Toh Nahin.
तुम्हें नींद नहीं आती तो कोई और वजह होगी,
अब हर ऐब के लिए कसूरवार इश्क तो नहीं।
Adaa Hai Khwaab Hai Takseem Hai Tamaasha Hai,
Meri Inn Aankhon Mein Ek Shakhs BeHatasha Hai.
अदा है ख्वाब है तकसीम है तमाशा है,
मेरी इन आँखों में एक शख्स बेतहाशा है।
Logon Ne Roj Hi Naya Kuchh Manga Hai Khuda Se,
Ek Hum Hi Hain Jo Tere Khayal Se Aage Na Gaye.
लोगों ने रोज ही नया कुछ माँगा खुदा से,
एक हम ही हैं जो तेरे ख्याल से आगे न गये।

Mere Lafz Feeke Pad Gaye Teri Adaa Ke Saamne,
Main Tujhe Khuda Keh Gaya Apne Khuda Ke Samne.
मेरे लफ्ज़ फ़ीके पड़ गए तेरी अदा के सामने,
मैं तुझे ख़ुदा कह गया अपने ख़ुदा के सामने।