Shayari about Maa, Kitna Laadala Tha Main
New Maa Shayari in Hindi
Tu Ne To Rula Ke Rakh Diya Ai Zindagi,
Ja Kar Poochh Meri Maa Se Kitna Laadala Tha Main.
तू ने तो रुला के रख दिया ऐ ज़िन्दगी,
जा कर पूछ मेरी माँ से कितना लाड़ला था मैं।

Dua Ko Haath Uthaate Huye Larazta Hoon,
Kabhi Duaa Nahin Maangi Thi Maa Ke Hote Huye.
दुआ को हाथ उठाते हुए लरज़ता हूँ,
कभी दुआ नहीं माँगी थी माँ के होते हुए।
Shahar Mein Jakar Parhne Wale Bhool Gaye,
Kis Ki Maa Ne Kitna Zewar Becha Tha.
शहर में जाकर पढ़ने वाले भूल गए
किसकी माँ ने कितना ज़ेवर बेचा था।
Jannat Ke Har Lamhe Ka Deedar Kiya Tha,
God Mein LeKar Jab Maa Ne Pyar Kiya Tha.
जन्नत के हर लम्हे का दीदार किया था,
गोद में लेकर जब माँ ने प्यार किया था।
Ai Maa Phir Se Mujhe Mera Basta De De,
Duniya Ka Diya Sabak Mushkil Bahut Hai.
ऐ माँ फिर से मुझे मेरा बस्ता दे दे,
दुनिया का दिया सबक मुश्किल बहुत है।