Maa Shayari, Jannat Nahi Maa Dekhi Hai

Read Best Maa Shayari in Hindi

Advertisement

Best Maa Shayari - Maine Maa Dekhi Hai

चलती फिरती आँखों से अज़ाँ देखी है,
मैंने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखी है।
Chalti Firti Aankhon Se Azaan Dehi Hai,
Maine Jannat Toh Nahi Dekhi Hai Maa Dekhi Hai.

तेरे क़दमों में ये सारा जहां होगा एक दिन,
माँ के होठों पे तबस्सुम को सजाने वाले।
Tere Kadmon Mein Yeh Saara Jahan Hoga Ek Din,
Maa Ke Hothhon Pe Tabassum Ko Sajaane Wale.

Advertisement

सर पर जो हाथ फेरे तो हिम्मत मिल जाये,
माँ एक बार मुस्कुरा दे तो जन्नत मिल जाये।
Sar Par Jo Haath Fere Toh Himmat Mil Jaye,
Maa Ek Baar Muskura De Toh Jannat Mil Jaye.

सूना-सूना सा मुझे ये घर लगता है,
माँ जब नहीं होती तो बहुत डर लगता है।
Soona Soona Sa Mujhe Yeh Ghar Lagta hai,
Maa Jab Nahi Hoti Toh Bahut Darr Lagta Hai.

मैंने कल शब चाहतों की सब किताबें फाड़ दी,
सिर्फ एक कागज़ पर लफ्जे माँ रहने दिया।
Maine Kal Shab Chahton Ki Sab Kitaabein Faad Di,
Sirf Ek Kagaz Par Lafze Maa Rahne Diya.

भूख तो एक रोटी से भी मिट जाती माँ,
अगर थाली की वो रोटी तेरे हाथ की होती।
Bhookh Toh Ek Roti Se Bhi Mit Jaati Maa,
Agar Thali Ki Wo Roti Tere Haath Ki Hoti.

Advertisement

Maa Shayari, Maa Ke Pair Chhukar

Shayari Maa Ke Kadmon Mein Jannat

Comments