Maa Shayari, Maa Ka Naam Lete Hi
Hindi Nice Shayari about Mother in Two Line
Apni Maa Ko Kabhi Na Dekhu Toh Chain Nahi Aata Hai,
Dil Na Jane Kyu Maa Ka Naam Sochte Hi Bahal Jata Hai.
अपनी माँ को कभी न देखूँ तो चैन नहीं आता है,
दिल न जाने क्यूँ माँ का नाम लेते ही बहल जाता है।
Kabhi Muskura De Toh Lagta Hai Zindgi Mil Gayi Mujhko,
Maa Dukhi Ho Toh Dil Mera Bhi Dukhi Ho Jata Hai.
कभी मुस्कुरा दे तो लगता है ज़िंदगी मिल गयी मुझको,
माँ दुखी हो तो दिल मेरा भी दुखी हो जाता है।
Tere Daaman Mein Sitaare Hain Toh Hongein Aye Falak,
Mujhko Meri Maa Ki Maili Odhni Achchhi Lagi.
तेरे दामन में सितारे हैं तो होंगे ऐ फलक,
मुझको मेरी माँ की मैली ओढ़नी अच्छी लगी।
Yeh Aisa Karz Hai Jise Main Adaa Kar Hi Nahi Sakta,
Main Jab Tak Ghar Na Aa Jaun Maa Sajde Mein Rehti Hai.
ये कैसा कर्ज़ है जिसे मैं अदा कर ही नहीं सकता,
मैं जब तक घर न आ जाऊं माँ सजदे में रहती है।