Maut Shayari, Dum Aaram Se Nikle
Hindi Death Shayari about a Lover Who is Going to Die
Jara Chup-Chap Toh Baitho Ke Dum Aaram Se Nikle,
Idhar Hum Hichki Lete Hain Udhar Tum Rone Lagte Ho.
जरा चुपचाप तो बैठो कि दम आराम से निकले,
इधर हम हिचकी लेते हैं उधर तुम रोने लगते हो।
Tum Samjhate Ho Ke Jeene Ki Talab Hai Mujh Ko,
Main Toh Iss Aas Mein Zinda Hun Ke Marna Kab Hai.
तुम समझते हो कि जीने की तलब है मुझको,
मैं तो इस आस में ज़िंदा हूँ कि मरना कब है।
Tamam Umar Jo Ki Humse Be-Rukhi Sab Ne,
Kafan Mein Hum Bhi Ajeezon Se Munh Chhupa Ke Chale.
तमाम उम्र जो हमसे बेरुखी की सबने,
कफ़न में हम भी अजीज़ों से मुँह छुपा के चले।
Lambi Umar Ki Duaa Mere Liye Na Maang,
Aisa Na Ho Ke Tum Bhi Chhod Do Aur Maut Bhi Na Aaye.
लम्बी उम्र की दुआ मेरे लिए न माँग,
ऐसा न हो कि तुम भी छोड़ दो और मौत भी न आये।
Wahi Tafreeq Ka Aalam Hai Baad-e-Marg Bhi Yaaro,
Na Katbe Ek Jaise Hain, Na Qabrein Ek Jaisi Hain.
वही तफरीक का आलम है बाद-ए-मर्ग भी यारों,
न कतबे एक जैसे हैं न कब्रें एक जैसी हैं।