Sanson Ke Silsile Ko Na Do Zindagi Ka Naam,
Jeene Ke Bawajood Bhi Mar Jaate Hain Kuchh Log.
साँसों के सिलसिले को न दो ज़िंदगी का नाम,
जीने के बावजूद भी मर जाते हैं कुछ लोग।
Iss Marhale Ko Bhi Maut Hi Kehte Hain,
Jahan Ek Pal Mein Toot Jaye Umr Bhar Ka Sath.
इस मरहले को भी मौत ही कहते हैं,
जहाँ एक पल में टूट जाये उम्र भर का साथ।
Aakhiri Deedar Kar Lo Khol Kar Mera Kafan,
Ab Na Sharmaao Ke Chashm-e-Muntzir Be-Noor Hai.
आखिरी दीदार कर लो खोल कर मेरा कफ़न,
अब ना शरमाओ कि चश्म-ए-मुन्तजिर बेनूर है।
Tamaam Gile-Shiqwe Bhula Kar Soya Karo Yaaro,
Suna Hai Maut Kisi Ko Koi Mauka Nahi Deti.
तमाम गिले-शिकवे भुला कर सोया करो यारो,
सुना है मौत किसी को कोई मौका नहीं देती।
Tumhara DabDabaa Khali Tumhari Zindagi Tak Hai,
Kisi Ki Qabr Ke Andar JameenDari Nahi Chalti.
तुम्हारा दबदबा खाली तुम्हारी ज़िंदगी तक है,
किसी की क़ब्र के अन्दर जमींदारी नहीं चलती।
Mil Jayenge Kuchh Humari Bhi Tareef Karne Wale,
Koi Humaari Maut Ki Afwaah Toh Udaao Yaaro.
मिल जाएँगे कुछ हमारी भी तारीफ़ करने वाले,
कोई हमारी मौत की अफवाह तो उड़ाओ यारों।
Maut Shayari, Dum Aaram Se Nikle
Maut Shayari, Rahega Mazaar Kya