Maut Shayari, Meri Maut Par Aansoo

Latest Maut Shayai in Hindi

Advertisement

Meri Maut Par Bhi Uski Aankhon Mein Aansoo Na The,
Usey Shak Tha Ki Mujh Mein Ab Bhi Jaan Baki Hai.
मेरी मौत पर भी उसकी आँखों में आँसू न थे,
उसे शक था कि मुझ में अब भी जान बाकी है।

Maut Par Aankhon Mein Aansoo Maut Shayari

Chal Saath Ki Hasarat Dil-e-Mehroom Se Nikle,
Aashiq Ka Janaza Hai Jara Dhoom Se Nikle.
चल साथ कि हसरत दिल-ए-महरूम से निकले,
आशिक का जनाजा है जरा धूम से निकले।

Ai Maut Aa Kar Humko Khamosh To Kar Gayi Tu,
Magar Sadiyon Dilon Ke Andar Hum Goonjte Rahenge.
ऐ मौत आ कर हमको खामोश तो कर गई तू,
मगर सदियों दिलों के अंदर हम गूंजते रहेंगे।

Advertisement

Soongh Kar Koi Masal Daale Toh Ye Hai Gul Ki Zeest,
Maut Uske Waste Daali Pe Kumhalaane Mein Hai.
सूँघ कर कोई मसल डाले तो ये है गुल की जीस्त,
मौत उसके वास्ते डाली पे कुम्हलाने में है।
-आनन्द नारायण मुल्ला

Zindagi Guzar Gayi Saari Kanton Ki Kagaar Par,
Aur Phoolon Ne Machai Hai Bheed Humari Mazaar Par.
जिंदगी गुजर गई सारी काँटों की कगार पर,
और फूलों ने मचाई है भीड़ हमारी मजार पर।

Advertisement

Zindagi Ne Toh Maar Hi Daala

Comments