Maut Shayari, Mar Ke Dikhana Pada
Touching Sad Maut Shayari in Hindi and English Font

Wo Kar Nahi Rahe The Meri Baat Ka Yakeen,
Phir Yun Hua Ke Mar Ke Dikhana Pada Mujhe.
वो कर नहीं रहे थे मेरी बात का यकीन,
फिर यूँ हुआ के मर के दिखाना पड़ा मुझे।
Tu Badnaam Na Ho Isliye Jee Raha Hun Main,
Varna Marne Ka Irada Toh Roj Hota Hai.
तू बदनाम ना हो इसलिए जी रहा हूँ मैं,
वरना मरने का इरादा तो रोज होता है।
Apne Qatil Ki Zehanat Se Pareshan Hun Main,
Roj Ik Maut Naye Tarz Ki Eejaad Kare.
अपने क़ातिल की ज़ेहानत से परेशान हूँ मैं,
रोज़ इक मौत नए तर्ज़ की ईजाद करे।
Zindgi KashmKash-e-Ishq Ke Aagaz Ka Naam,
Maut Anjaam Hai Isee Dard Ke Afsaane Ka.
जिन्दगी कशमकश-ए-इश्क के आगाज का नाम,
मौत अंजाम इसी दर्द के अफसाने का।
Odh Kar Mitti Ki Chadar BeNishan Ho Jayenge,
Ek Din Aayega Hum Bhi Dastaan Ho Jayenge.
ओढ़ कर मिट्टी की चादर बेनिशान हो जायेंगे,
एक दिन आएगा हम भी दास्ताँ हो जायेंगे।
Sau Zindagi Nisaar Karun Aisi Maut Par,
Yun Roye Zaar Zaar Tu Ahl-e-Azaa Ke Saath.
सौ जिंदगी निसार करूँ ऐसी मौत पर,
यूँ रोये ज़ार-ज़ार तू अहल-ए-अज़ा के साथ।