Zindagi Ne Toh Maar Hi Daala
Hindi Quotes about Death (Shayari about Death)
Advertisement
Maut Aaye Toh Din Badalein Shayad,
Zindagi Ne Toh Maar Hi Daala Hai.
मौत आये तो दिन बदलें शायद,
ज़िंदगी ने तो मार ही डाला है।
Maut Ne Mujhko Tawajjo Di Nahi,
Isliye Har Haal Mein Jeeta Hun Main.
मौत ने मुझको तवज्जो दी नहीं
इसलिए हर हाल में जीता हूँ मैं।
Humaari Muskrahat Par Na Jaana,
Diya Toh Qabr Par Bhi Jal Raha Hai.
हमारी मुस्कुराहट पर न जाना,
दिया तो कब्र पर भी जल रहा है।
Advertisement
Dafan Karna Mujhe Apni Aankhon Mein,
Ye Meri Aakhiri Wasiyat Hai.
दफन करना मुझे अपनी आँखों में,
ये मेरी आखिरी वसीयत है।
Apni Maut Bhi Kya Maut Hogi,
Yoon Hi Mar Jaayenge Tum Pe Marte-Marte.
अपनी मौत भी क्या मौत होगी,
यूँ ही मर जायेंगे तुम पे मरते-मरते।