Karte Hain Deedaar Mein Milaawat
Hindi Beauty Shayari about Prettiness of Girls
Chehre Ka Kuchh Hissa Zahir-e-Naqab Karke,
Karte Hain Husn Wale Deedaar Mein Milaawat.
चेहरे का कुछ हिस्सा ज़ाहिर-ए-नक़ाब करके,
करते हैं हुस्न वाले दीदार में मिलावट।

Kisi Kali Kisi Gul Mein Kisi Chaman Mein Nahin,
Wo Rang Hai Hi Nahin Jo Tere Badan Mein Nahin.
किसी कली किसी गुल में किसी चमन में नहीं,
वो रंग है ही नहीं जो तेरे बदन में नहीं।
Bole To Sahi Jhoothh Hi Bole Wo Bala Se,
Zalim Ka Labo-Lehja Dil Aamez Bahut Hai.
बोले तो सही झूठ ही बोले वो बला से,
ज़ालिम का लबो-लहजा दिल आमेज़ बहुत है।
Jis Taraf Tu Hai Udhar Hongi Sabhi Ki Najrein,
Eid Ke Chaand Ka Deedar Bahana Hi Sahi.
जिस तरफ तू है उधर होंगी सभी की नज़रें,
ईद के चाँद का दीदार बहाना ही सही।