Iss Darr Se Kabhi Gaur Se Dekha Nahi Tujhko,
Kehte Hain Lag Jaati Hai Apnon Ki Najar Bhi.
इस डर से कभी गौर से देखा नहीं तुझको,
कहते हैं कि लग जाती है अपनों की नज़र भी।
Kyun Chandni Raaton Mein Dariya Pe Nahate Ho,
Soye Huye Paani Mein Kya Aag Lagaani Hai.
क्यों चाँदनी रातों में दरिया पे नहाते हो,
सोये हुए पानी में क्या आग लगानी है।
Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chaand Si Surat Di Hai,
Usi Allah Ne Mujh Ko Bhi Mohabbat Di Hai.
ऐ सनम जिस ने तुझे चाँद सी सूरत दी है,
उसी अल्लाह ने मुझ को भी मोहब्बत दी है।
Lene Na Paye Unki Balayein Barha Ke Haath,
Uss BadGumaan Ne Thaam Liye Muskura Ke Haath.
लेने न पाए उनकी बलायें बढ़ा के हाथ,
उस बदगुमाँ ने थाम लिए मुस्कुरा के हाथ।
Shayari on Beauty, Woh Sharmayi Surat
Shayari on Beauty, Kasoor Unke Chehre Ka