Aisa Na Ho TujhKo Bhi Deewana Bana Daale,
Tanhai Mein Khud Apni Tasvir Na Dekha Kar.
ऐसा ना हो तुझको भी दीवाना बना डाले,
तन्हाई में खुद अपनी तस्वीर न देखा कर।
Bachpan Mein Sochta Tha Chaand Ko Chhoo Loon,
Aapko Dekha Wo Khwahish Jati Rahi.
बचपन में सोचता था चाँद को छू लूँ,
आपको देखा वो ख्वाहिश जाती रही।
Mujhko Yeh Aarzoo Woh Uthhayein Naqaab Khud,
Un Ko Yeh Intezaar Taqaaza Kare Koi.
मुझको ये आरज़ू वो उठाएं नक़ाब खुद,
उन को ये इंतज़ार तकाजा करे कोई।
Kya Husn Tha Ke Aankh Se Dekha Hajaar Baar,
Phir Bhi Najar Ko Hasrat-e-Deedaar Rah Gayi.
क्या हुस्न था कि आँख से देखा हजार बार,
फिर भी नजर को हसरत-ए-दीदार रह गयी।
Uss Husn-e-BeMisaal Ko Dekha Na Aaj Tak,
Jis Ke Tasawwuraat Ne Jeena Sikha Diya.
उस हुस्न-ए-बेमिसाल को देखा न आज तक,
जिस के तसुव्वरात ने जीना सिखा दिया।
Hosh-e-Haalat Pe Kaaboo Toh Kar Liya Maine,
Unhein Dekh Ke Phir Hosh Kho Gaye Toh Kya Hoga.
होश-ए-हालात पे काबू तो कर लिया मैंने,
उन्हें देख के फिर होश खो गए तो क्या होगा।
Shayari on Beauty, Parda Humein Se
Shayari on Beauty, Naaz Bhi Andaz Bhi