Yaad Shayari, Kisi Ki Yaadon Mein
Four Line Poetry on Yaadein in Hindi
Ab Udaas Hona Bhi Achha Lagta Hai,
Kisi Ka Paas Na Hona Bhi Achha Lagta Hai,
Main Dur Rehkar Bhi Kisi Ki Yaadon Mein Hun,
Yeh Ehsaas Hona Bhi Achha Lagta Hai.
अब उदास होना भी अच्छा लगता है,
किसी का पास न होना भी अच्छा लगता है,
मैं दूर रह कर भी किसी की यादों में हूँ,
ये एहसास होना भी अच्छा लगता है।
Kitni Jaldi Ye Mulakaat Gujar Jaati Hai,
Pyaas Bujhti Nahi Barsaat Gujar Jaati Hai,
Apni Yaadon Se Kaho Ki Yun Na Sataya Kare,
Neend Aati Nahi Aur Raat Gujar Jaati Hai.
कितनी जल्दी ये मुलाकात गुजर जाती है,
प्यास बुझती नहीं बरसात गुजर जाती है,
अपनी यादों से कहो कि यूँ न सताया करें,
नींद आती नहीं और रात गुजर जाती है।
Kuchh Log Bhool Ke Bhi Bhulaye Nahi Jate,
Aitbaar Itna Hai Ke Aajmaye Nahi Jaate,
Ho Jaate Hain Dil Mein Iss Tarah Shamil,
Unke Khayal Bhi Dil Se Mitaye Nahi Jaate.
कुछ लोग भूल के भी भुलाये नहीं जाते,
ऐतबार इतना है कि आजमाये नहीं जाते,
हो जाते हैं दिल में इस तरह शामिल कि,
उनके ख्याल भी दिल से मिटाये नहीं जाते।