Miss You Shayari, Ki Wo Yaad Karega
Heart Touching Missing You Shayari in Hindi
Maloom Bhi Hai Ki Ye Mumkin Nahi Magar,
Ek Aas Si Rehti Hai Ki Wo Yaad Karega.
मालूम भी है कि ये मुमकिन नहीं मगर,
एक आस सी रहती है कि वो याद करेगा।

Main Bahut Khush Tha Kadi Dhoop Ke Sannate Mein,
Kyun Teri Yaad Ka Baadal Mere Sir Par Aaya.
मैं बहुत ख़ुश था कड़ी धूप के सन्नाटे में,
क्यों तेरी याद का बादल मेरे सिर पर आया।
Tumhari Yaad Mein Jeene Ki Aarzoo Hai Abhi,
Kuchh Apna Haal Sambhaaloon Agar Ijaazat Ho.
तुम्हारी याद में जीने की आरज़ू है अभी,
कुछ अपना हाल संभालूँ अगर इजाज़त हो।
Bhooli Hui Sadaa Hoon Mujhe Yaad Keejiye,
Tum Se Kahi Mila Hoon Mujhe Yaad Keejiye.
भूली हुई सदा हूँ मुझे याद कीजिये,
तुम से कहीं मिला हूँ मुझे याद कीजिये।
Kisi Ki Yaad Ne Zakhmo Se Bhar Diya Seena,
Har Ek Saans Pe Shak Hai Ki Aakhiri Hogi.
किसी की याद ने ज़ख्मों से भर दिया सीना,
हर एक साँस पे शक है कि आखिरी होगी।
Udaas Kar Gayi Aaj Ki Subah Bhi Mujhe,
Jaise Bhula Raha Ho Koi Aahista-Aahista.
उदास कर गई आज की सुबह भी मुझे,
जैसे भुला रहा हो कोई आहिस्ता-आहिस्ता।