Missing You Shayari, Yaad Aaye Humein Tum
Latest Yaad Shayari in Hindi
Advertisement
हम ने कब तुम से मुलाकात का वादा चाहा,
दूर रह कर तो तुम्हें और भी ज्यादा चाहा,
याद आए हमें और भी शिद्दत से तुम,
भूल जाने का तुम्हें जब भी इरादा चाहा।
Hum Ne Kab Tum Se Mulakaat Ka Waada Chaha,
Door Reh Kar To Tumhein Aur Bhi Jyada Chaha,
Yaad Aaye Humein Aur Bhi Shiddat Se Tum,
Bhool Jaane Ka Tumhein Jab Bhi Iraada Chaha.

Advertisement
ये हुस्न-ए-राज-ए-मोहब्बत छुपा रहा है कोई,
है अश्क आँखों में और मुस्कुरा रहा है कोई,
नजर-नजर में तसल्ली दिखा रहा है कोई,
नफस-नफस पे मुझे याद आ रहा है कोई।
Ye Husn-e-Raaz-e-Mohabbat Chhupa Raha Hai Koi,
Hai Ashq Aankhon Mein Aur Muskura Raha Hai Koi,
Najar-Najar Mein Tasalli Dikha Raha Hai Koi,
Nafas-Nafas Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi.