Yaad Shayaris, Lafz Likhe Teri Yaad Mein
Cute Shayari in Hindi on Yaadein
Do Lafz Kya Likhe Teri Yaad Mein Humne,
Log Kahne Lage Tu Aashiq Bahut Purana Hai.
दो लफ्ज़ क्या लिखे तेरी याद में हमने,
लोग कहने लगे तू आशिक बहुत पुराना है।
Tum Ne Kiya Na Yaad Kabhi Bhool Kar Humein,
Hum Ne Tumhari Yaad Mein Sab Kuchh Bhula Diya.
तुम ने किया न याद कभी भूल कर हमें,
हम ने तुम्हारी याद में सब कुछ भुला दिया।
Maine Rang Diya Har Panna Teri Yaadon Se,
Meri Kitabon Se Puchh Ishq Kise Kahte Hain.
मैंने रंग दिया हर पन्ना तेरे यादों से,
मेरी किताबों से पूछ इश्क किसे कहते हैं।
Aarzoo Honi Chahiye Kisi Ko Yaad Karne Ki,
Lamhe Toh Khud-Ba-Khud Mil Jaya Karte Hain.
आरज़ू होनी चाहिए किसी को याद करने की,
लम्हें तो खुद-ब-खुद मिल जाया करते हैं।
Mere Kaabu Mein Na Pahron Dil-e-Nashad Aaya,
Woh Mera Bhulne Wala Jo Mujhe Yaad Aaya.
मेरे काबू में न पहरों दिल-ए-नाशाद आया,
वो मेरा भूलने वाला जो मुझे याद आया।
Fir Dil Ke Khwabgaah Mein Maaji Ka Baankpan,
Aawaaz De Raha Tha Ke Tum Yaad Yaad Aa Gaye.
फिर दिल के ख्वाबगाह में माजी का बांकपन,
आवाज दे रहा था कि तुम याद आ गये।