Yaad Shayari, Yaadein Mohabbat Ki
Shayari on Sad Remembrance in Love

Bahut Ajeeb Hoti Hain
Yaadein Yeh Mohabbat Ki,
Roye The Jin Palon Mein
Yaad Kar Unhein Hasi Aati Hai,
Aur Hanse The Jin Palon Mein
Ab Yaad Kar Unhe Rona Aata Hai.
बहुत अजब होती हैं
यादें यह मोहब्बत की,
रोये थे जिन पलों में
याद कर उन्हें हँसी आती है,
और हँसे थे जिन पलों में
अब याद कर उन्हें रोना आता है।
Mujhe Neend Ki Ijazat Bhi
Unki Yaadon Se Leni Padti Hai,
Jo Khud Aaram Se Soye Hain
Mujhe Karbaton Mein Chhod Kar.
मुझे नींद की इजाज़त भी
उनकी यादों से लेनी पड़ती है,
जो खुद आराम से सोये हैं
मुझे करबटों में छोड़ कर।
Sarhadein Tod Ke Aa Jati Hai
Kisi Panchhi Ki Tarah,
Yeh Teri Yaad Hai Jo BantTi Nahi
Mulkon Ki Tarah.
सरहदें तोड़ के आ जाती है
किसी पंछी की तरह,
यह तेरी याद है जो बंटती नहीं
मुल्कों की तरह।
Abhi Tak Dil Mein Roshan Hain
Tumhari Yaad Ke Jugnoo,
Abhi Iss Raakh Mein Chingariyan
Aaram Karti Hain.
अभी तक दिल में रोशन हैं
तुम्हारी याद के जुगनू
अभी इस राख में चिंगारियां
आराम करती हैं।