Pyar Kar Ke Koyi Jataye Yeh Jaruri Toh Nahi,
Yaad Kar Ke Koyi Bataye Yeh Jaruri Toh Nahi,
Rone Wale Toh Dil Mein Hi Ro Lete Hain Apne,
Kabhi Aankh Mein Aansu Aaye Yeh Jaruri To Nahi.
प्यार कर के कोई जताए ये ज़रूरी तो नहीं,
याद कर के कोई बताये ये ज़रूरी तो नहीं,
रोने वाले तो दिल में ही रो लेते हैं अपने,
कभी आँख में आसूं आये ये ज़रूरी तो नहीं।
Har Ek Muskurahat Muskan Nahi Hoti,
Nafrat Ho Ya Mohabbat Aasaan Nahi Hoti,
Aansu Khushi Ke Gham Ke Hote Hain Ek Jaise,
Inn Aansuon Se Koi Pahchan Nahi Hoti.
हर एक मुस्कुराहट मुस्कान नहीं होती,
नफरत हो या मोहब्बत आसान नहीं होती,
आँसू गम के और ख़ुशी के होते हैं एक जैसे,
इन आँसुओं की कोई पहचान नहीं होती।
Mere Dil Mein Na Aao Varna Doob Jaoge,
Gam Ke Aansoo Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi Andar,
Agar Ek Baar Risne Laga Aankhon Se Paani,
Toh Kam Pad Jayega Bharne Ke Liye Samandar.
मेरे दिल में न आओ वरना डूब जाओगे,
ग़म-ए-अश्कों के सिवा कुछ भी नहीं अंदर,
अगर एक बार रिसने लगा जो पानी,
तो कम पड़ जायेगा भरने के लिए समंदर।
Aansu Shayari, Kya Kahoon Deeda-e-Tar
Ashq Shayari, Barson Bahe Aansu