Ek Dard-e-Wafa Sone Nahi Deta
Best Dard Ki Shayari in Hindi
एक दर्द-ए-वफा मुसलसल मुझे सोने नहीं देता,
दिल सब्र का आदी है कभी रोने नहीं देता,
मैं उसका हूँ ये राज तो वो जान गया है,
वो किसका है ये एहसास मुझे होने नहीं देता।
Ek Dard-e-Wafa Musalsal Mujhe Sone Nahi Deta,
Dil Sabr Ka Aadi Hai Kabhi Rone Nahi Deta,
Main Uska Hoon Ye Raaz Toh Wo Jaan Gaya Hai,
Wo Kis Ka Hai Ye Ehsaas Mujhe Hone Nahi Deta.
कोई समझता नहीं मुझे इसका गम नहीं करता,
पर तेरे नजरंदाज करने पर मुस्कुरा देता हूँ,
मेरी हँसी में छुपे दर्द को महसूस कर के देख,
मैं तो हँस के यूँ ही खुद को सजा देता हूँ।
Koi Samajhta Nahi Mujhe Iss Ka Gham Nahi Karta,
Par Tere NajarAndaaz Karne Par Muskura Deta Hoon,
Meri Hansi Mein Chhupe Dard Ko Mahsoos Karke Dekh,
Main Toh Hans Ke Yun Hi Khud Ko Saza Deta Hoon.