Prem Watan Ke Liye Lutaana
Best Deshbhakti Shayari in Hindi
नहीं सिर्फ जश्न-ए-आजादी मनाना,
नहीं सिर्फ झंडे लहराना,
ये काफी नहीं है वतन परस्ती,
यादों को उनकी नहीं भुलाना,
जो कुर्बान हुए हैं देश पर,
उनके सपनों को आगे बढ़ाना,
जाति और धर्म से ज्यादा
प्रेम वतन के लिए लुटाना।
Nahi Sirf Jashn-e-Aazadi Manana,
Nahi Sirf Jhande Lehrana,
Yeh Kaafi Nahi Hai WatanParasti,
Yaadon Ko Unki Nahi Bhulana,
Jo Qurbaan Huye Hain Desh Par,
Unke Sapno Ko Aage Badhana,
Jaati Aur Dharm Se Zyada,
Prem Watan Ke Liye Lutaana.
एक दिया उनके भी नाम का,
रख लो पूजा की थाली में,
जिनकी साँसें थम गई हैं,
भारत माँ की रखवाली में।
Ek Diya Unke Bhi Naam Ka,
Rakh Lo Pooja Ki Thaali Mein,
Jinki Saanse Tham Gayin Hain,
Bharat Maa Ki Rakhwali Mein.
ना पूछो इस जमाने से,
क्या हमारी कहानी है,
हमारी पहचान तो सिर्फ ये है,
कि हम हिंदुस्तानी हैं।
Na Poochho Iss Zamane Se,
Kya Humari Kahani Hai,
Humari Pehchaan To Sirf Ye Hai,
Ki Hum Hindustani Hain.