Motivational Shayari, Khud Apne Hi Haathon Se
Very Inspiring Shayari Status
Khuda Tafeeq Deta Hai Unhein Jo Yeh Samjhte Hain,
Ke Khud Apne Hi Haathon Se Bana Karti Hain Taqdirein.
खुदा तौफीक देता है उन्हें जो यह समझते हैं,
कि खुद अपने ही हाथों से बना करती हैं तकदीरें।
Inhin Gam Ki Ghataaon Se Khushi Ka Chaand Niklega,
Andheri Raat Ke Pardon Mein Din Ki Roshni Bhi Hai.
इन्हीं गम की घटाओं से खुशी का चांद निकलेगा,
अंधेरी रात के पर्दों में दिन की रौशनी भी है।
Inhin Jarron Se Kal Honge Naye Kuchh Kaarwan Paida,
Jo Zarre Aaj Udte Hain Gubaar-e-Karwan Hokar.
इन्हीं जर्रों से कल होंगे नए कुछ कारवां पैदा,
जो जर्रे आज उड़ते हैं गुबार-ए-कारवां होकर।
Jara Dariya Ki Tah Tak Tu Pahunch Jane Ki Himmat Kar,
Toh Phir Aye Doobne Wale Kinara Hi Kinara Hai.
जरा दरिया की तह तक तू पहुंच जाने की हिम्मत कर,
तो फिर ऐ डूबने वाले किनारा ही किनारा है।