Romantic Shayari, Tumhari Baahon Ka Sahara
Hindi Romantic Shayari for Girlfriend or Wife
मुझको फिर वही सुहाना नजारा मिल गया,
इन आँखों को दीदार तुम्हारा मिल गया,
अब किसी और की तमन्ना क्यूँ मैं करूँ,
जब मुझे तुम्हारी बाहों का सहारा मिल गया।
Mujhko Phir Wahi Suhana Najara Mil Gaya,
Inn Aankhon Ko Deedar Tumhara Mil Gaya,
Ab Kisi Aur Ki Tamanna Kyun Main Karu,
Jab Mujhe Tumhari Baahon Ka Sahara Mil Gaya.

सफर वहीं तक है जहाँ तक तुम हो,
नजर वहीं तक है जहाँ तक तुम हो,
हजारों फूल देखे हैं इस गुलशन में मगर,
खुशबू वहीं तक है जहाँ तक तुम हो।
Safar Wahin Tak Hai Jahan Tak Ho Tum,
Najar Wahin Tak Hai Jahan Tak Ho Tum,
Hajaron Phool Dekhe Hain Iss Gulshan Mein Magar,
Khushbu Wahin Tak Hai Jahan Tak Ho Tum.

इस दिल का कहा मानो एक काम कर दो,
एक बेनाम सी मोहब्बत मेरे नाम कर दो,
मेरे ऊपर एक छोटा सा एहसान कर दो,
एक सुबह को मिलो और शाम कर दो।
Iss Dil Ka Kaha Maano Ek Kaam Kar Do,
Ek Benaam Si Mohabbat Mere Naam Kar Do,
Mere Upar Ek Chhota Sa Ehsaan Kar Do,
Ek Subah Ko Milo Aur Shaam Kar Do.